Out from self imposed Exile!!

Yes, indeed it was a self imposed exile from blogging; partially due to the pain that was caused by my ex workplace (read it in the previous blog) and partially due to the work load that my new work place came up with.

This is by far the longest time that i have been away from blogging. Though a good break, gave me lot of subjects to write upon. Very soon you would see a series of articles on commercialization of cricket, prediction of winner of IPL3 - the conclusive story, or day as it goes. I am working on drafts of these three write up currently.

But for now, i will sign off by the poem that i wrote on my mummy's birthday: - Title "Maa"

Sochtey hue chala ja raha tha,
ki, Kaun hota hai sabse bada
sabse mahaan, sabse shaktishaali.
Kabhi mann ne kaha ki vishnu,dimag bola, shiv
dil ne kaha ki, swyam bhrahma se bada kaun hai
par kisi tarah shanti na mili
isi mahaul mein main chala ja raha tha
dheemi gati se, gadiyoon ke beech mein se
laga ki ho sakta hai mera sochna hi vrath ho,
ki tabhi dekha maine kuch aisa ki mujhe jawab mil gaya
durr ek bacche ko sambhale ek "Maa" aa rahi thi
Natkhat baccha kabhi kisi cheez ki zid karta
to kabhi kisi baat pe machalta,
maa usse sambhalti, puchkaarti,fatkarti
har thodi der mein bacha chahek uthta.
mujhe mera jawab mil gaya tha
laga ki woh maa hi to hai jo sabse shakti shaali hai
kaun bolta hai ki vishu-brhama hain shrithi ke racheta,
main bolta hun na hoti maa to vishnu swyam na hote,
bhrahmaji ka astitava hi nahin hota,
tabhi aaya woh khayaal jisne sabhi baaton ka nibtara kar diya

"mera jab ansh bhi na tha, tab jisne mujhe upna ansh banaya"
woh maa hi to hai

"mera jab astitva hi nahin tha, tab mujhe jisne astitva diya"
woh maa hi to hai

"jab apne angon ka dhyaan nahin tha, jisne mujhe upna ang banaya"
woh maa hi to hai

barbas hi ankhein nam hogayi aur main natmastak ho gaya.

No comments: