Holi...

Holi aayi re kanhai rang barse
suna de zara baansuri..


Suna yeh geet humne jab,
yaad aayi ghar ki tab
woh jamana bhi tha ek
jab hotey they yaar anek,
aaj hai ghar, gaadi, aur sabhi aish-o-araam
lekin kahan woh khanakti hui aawaaz,
woh shor-sharaba, woh apnapan,
lakh mana karne par bhi woh kisi ka humen rang lagana
woh chilate hue hamara unke peeche bhagna,
woh saaf mann se ek dusre ko rangna,
Woh maa ke lakh mana karne par bhi safeed kapde pehanna
kaise kaise fitur hote they,
ek din pehle poori shaam agle din ke karikram bante they
woh besan ki chukki woh gujiya
woh maa ki rasoi aur uski khushbu,
holi ke din ka woh mahaul
kahin se geet-sangeet
kahin se chilla-chot
aur ab...

ab hai charon taraf sannata
bas thodi bahut khusur fusur
"22 degree ka woh controlled" mahaul
bas keyboard ki khat-khat aur phone ki ring
saaf suthra office aur saaf suthre hum

lagta hai jaise ki woh koi aur hi tha
jo chaad kar deewaron pe dauda karta tha
shayad woh main nahin,
woh shayad koi aur hi tha
jo nange pair kadi doop mein
upne mitron ko rang lagane ko peeche bhagta tha
aur ab bas muskurate hue haath milata hai

zindagi badi ajeeb hai,
jab yeh nahin tha, jo hai,
to sochte they,
kya hoga jab hamari jeb mein rupaiye honge
hum zindagi ko aise jiyenge waise jiyenge
aur jab ki aaj hai,
to bachpan chahiye..

kahin main zyada to nahin maang raha…

2 comments:

Pooja Dixit said...

yu wakif ho kar is andaz-e-bayan se
rok na paye un galiyaro mey jane se
jab aangan ki balti mey rang ghulta tha;
aur badi subah woh bada bhai uth ta tha;
sab se alag ho meri pichkari
jis se rang du ye duniya sari
wo hullad aur wo kapde badalna
wo besan ragad k rang nikalna
wo shaitani bhari aankhein jo gujiya dhundti;
aur pet dukhne pe aangan mey daudti;
yeh bhi kya kuch maangna hua?
jo apna hai bus use ek baar jeene ka bahana hua.

Flight of Swan said...

kya bat hai..kya bat hai..kya bat hai..