Kuch "Nagme" kuch "pal"

Sometime back in my life, i found a unique way of passing out my low moments of life. I started penning down my thoughts in form of one or two liners. Here's a glimpse of my collection. In no way i claim to be a poet, these are just my expression. Please feel free to drop by and comment on them, i will be truly grateful

Regards
------ ------ ------ ------ ------ ------ ------
Deedar-e-yaar itna aasaan kabhie na tha-2
Jub bhi hota hai maan, ankhen band kar leta hun
-----
Pyar ko na pane ki kuch aisi saza mukarrar ki hum ne
Zinda bhi rahey aur jiye bhi nahin
-----
Tujhe kya bataun dost mohabbat kya hoti hai,
Who dil, dua, shamma hoti hai;
Ashikon se na poocho unki raat ka aalam,
unki raatein to bina sitaron ke bhi jawaan hoti hain.
-----
Uski Mohabbat Mein Dil Deewana Hogaya Hai
Yeh Apne Aap Se Begana Hogaya Hai
Kaash Koi Ja Ke Yeh Bataye Shamma Ko
Ki Uski Chahat Mein koi Parwana Hogaya Hai
-----
Hum parwano se poocho ishq ki kahani-2
shamma ke saath rehtey hain shamma pe martey hain
-----
Kuch aisa raha aalaam ki tumhari yaad aati rahi-2
bas na jaane kyun aisa hone laga ki jeene ki khwahish jaati rahi.
-----
Zindagi ki shuruat hui thi jub hum mile the unse,
fir kuch aisa hua ki bas zindagi tham gayi,
sanse to chalti rahi bas dil ki dhadkan ruk gayi......
-----
Mujhe kya pata tanhai ka aalam..maine to bas pyar kiya hai...
dil ne jub jub bhi chaha mehboob ka deedar kiya hai...
-----
Is kadar tujhe chaha ki fir kuch chah na sake,
Itna jiye terey saath ke terey bina bas jee na sake
-----
Zindagi ki kwahishen kuch kum reh gayi,
chand raatein kuch kum reh gayi,
Pyar to unko bahut kiya,
magar shayad humari aahen kuch kum reh gayi
-----
Socha tha jaisa waisa hi jivan to hai magar,
ab aur kis talash mein bechain hai nazar,
Kudrat bhi meharbaan hai dariyadillli ke sath,
Fhir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.
-----
pyar ne ye kaisa tohfa de diya humko;
gumo ne pathar bana diya humko,
teri yaadon main hi kat gayi ye umar,
par kehta raha kab ka bhula diya tumko.
-----
hasrat hai humen khud ko mitane ki...
hasrat hai humen khud ko mitane ki...
kash jeene ki khwahish yun khatum na ho gayi hoti...
-----
ab shayri se hi khushi aati hai chehron pe warana aansuon ka kya hai...
ab shayri se hi khushi aati hai chehron pe warana aansuon ka kya hai...
do pocchte hain char nikalte hain...
-----
yehi to kahani hai is bedard zindagi ki...
yehi to kahani hai is bedard zindagi ki...
hum kehte hi rahey ki hum wafai karenge
par unhe tha wishwaas ki bewafi ka aalam hai...
-----
In shabdon ko kya tarz de...
zabaan kahen ki dil ki aawaaz...
bas yehi samjh lijiye ki ab "namaste" bhi karte hain
to "aadaab" nikalta hai...
-----
dil ki kya kahen yeh to be gairat hai...
dil ki kya kahen yeh to be gairat hai;
jo dukh deta hai yeh usi pe marta hai.
-----
hum chodd chuke hain jo baazar..
hum chodd chuke hain jo baazar..
kamal to yeh hai ki reh reh ke wohi rahen humen bulati hain.. :)
kitna bhi chahen bhul jayen un himakatoon ko..
par har baar aur haseen hokar wohi saamne aa jaati hain..
-----
nafa-nuksaan hi sochte to fir baat hi kya thi...
nafa-nuksaan hi sochte to fir baat hi kya thi...
yahan to dard-e-dil ke mureed hain,
muskaan pe jaan de detey hain... :)
-----
kamal hotey hain kuch log
nazar aatey rookhe kuch log
bhara hota hai dariya-e-ishq seene mein,
nazar aatey hain sirf ek jharna kuch log
-----
yun to duniya mein haseen bahut hai
yun to ...duniya mein haseen bahut hai
khuda ne magar chand ek hi banaya hai
banaya hai bahut afreen duniya ko...magar..
yaar mera sirf ek hi banaya hai...
-----
dekho to halat-e-jahan.. ki..
humne kardi hai zindagi naam jiske,
wohi fayde ki baat karta hai...
kaisa zaalim hai saathi mera...
kaisa zaalim hai saathi mera,
main pyar ki magar woh nafa-nukasaan ki baat karta hai..
-----
dekh paatey hain unhe yeh kya kam hai...
dekh paatey hain unhe yeh kya kam hai...
Kahin hum mar hi na jayen agar jo woh mil jayen humen
-----
haq hai unhe humare dil ko dukhane ka;
Khuda ne husn-e-aftaab se nawaja hai unhe,
humara kya hai hum to sirf ek adna se sharare hain,
humara kya hai hum to sirf ek adna se sharare hain,
Jal ke bujh bhi jayen to kya farak padega unhe.
-----
kamal ki hai adayen,
kamal ki hai adayen,
sharara bhi kehti hain aur mukammal bhi...
Koi in haseenaon se hamen muafi dilaye..
Koi in… haseenaon se hamen muafi dilaye….
Muskurati bhi hain aur jaan bhi leti hain…
-----
ishq bhi kamal ki cheez hai...
dikhta aankhon mein hai yakeen magar zubaan se chahta hai..
-----
jab bhi ho dimag pareshaan aur dil hairan..
yahin hi ka raasta farishton ne bataya hai..
zindagi jeena asaan to nahin aur
nahin muh ferna pareshaniyon ka hul,
par jab ho pareshaniyaan inti kaafir ke zindagi haarne lage,
accha hota hai mann behlana
-----

2 comments:

Ila's world, in and out said...

Wah wah ! Janaab shaayar ka dil rakhte hain. Masha-allah

Badal Chowdhary said...

Awesome. Thode tiger samajh nahi aaye, par jo samajh aaye un mein maza aa gaya.